Ans:
Pehli baat to yeki Gair muslim se dostana talluqaat rakhna jaiz nahi. Han, agar kabhi ittefaqan khana pad jaaye ya gair muslim khaana ghar par bhej de to vegetable khaane me harj nahi. Uske yahan se aaya huva Gosht khaana haraam hoga agarche wo kahe ki usne kisi musalman k yahan se gosht kharida he.
*Fatawa Razavia Jild:21 Safah:637* par hai,
“Hinduo ke yaha khana peena SIWAYE GOSHT ke jaiz rakha gaya hai magar behtar bachna hai”
Aur aage Alahazrat Imam e Ahle Sunnat is kitab yani
*Fatawa Razavia Jild:21 Safah:659* par likhte hai
“hinduo ke yaha gosht khana haram hai, aur baki cheezo me fatwa jawaz aur taqwa ehtraz”
(yani gosht khana haram, baki chize halal, fatwa yahi hai aur taqwa ye ke kuch bhi naa khaye)
Age *Fatawa Razavia Jild:21 Safah:664* par likhte hai, (khulasa)
“hinduo ke yaha ka gosht haram aur har wo chiz bhi haram jiski nisbat ye yaqin ho ke isme koi napak chiz mili hai, aur yaqeen nahi to (gosht ke siwa) sab jaiz)
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
1 dhiam kitna hota hai
ReplyDelete