Q 166 Agar Apne Kisi Kafir Dost Ne Ghar Se Kuch Khane Ki Chiz Bana Kar Laya Aur Usne Vo Chiz Khane Ko Kaha To Hum Vo Chiz Kha Sakte Hai Kya Vo Chiz Hamare Liye Khana Jaayaz Hai???

Ans:

Pehli baat to yeki Gair muslim se dostana talluqaat rakhna jaiz nahi. Han, agar kabhi ittefaqan khana pad jaaye ya gair muslim khaana ghar par bhej de to vegetable khaane me harj nahi. Uske yahan se aaya huva Gosht khaana haraam hoga agarche wo kahe ki usne kisi musalman k yahan se gosht kharida he.

*Fatawa Razavia Jild:21 Safah:637* par hai,
“Hinduo ke yaha khana peena SIWAYE GOSHT ke jaiz rakha gaya hai magar behtar bachna hai”

Aur aage Alahazrat Imam e Ahle Sunnat is kitab yani

*Fatawa Razavia Jild:21 Safah:659* par likhte hai
“hinduo ke yaha gosht khana haram hai, aur baki cheezo me fatwa jawaz aur taqwa ehtraz”
(yani gosht khana haram, baki chize halal, fatwa yahi hai aur taqwa ye ke kuch bhi naa khaye)

Age *Fatawa Razavia Jild:21 Safah:664* par likhte hai, (khulasa)
“hinduo ke yaha ka gosht haram aur har wo chiz bhi haram jiski nisbat ye yaqin ho ke isme koi napak chiz mili hai, aur yaqeen nahi to (gosht ke siwa) sab jaiz)
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Share on Google Plus

About SUNNI RAZVI

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment
    Facebook Comment

1 comments:

Comment here