Ans:
Billi ka peshab aur pakhana najasat e galiza he.
Najasat e galiza ka huqm ye he ki kapde ya badan par 1 dirham se zyada lag jaaye to uska paak karna farz he, bagair paak kiye namaz padhi to namaz na hogi. Aur iss soorat me janbujh kar namaz padhna sakht gunah aur namaz ko halqa jante huve iss tarah namaz padhi to huqme kufr he.
Agar ek dirham k barabar badan ya kapde par lagi he to paak karna wajib, bagair paak kiye namaz padhi to namaz makruhe tehrimi wajibul iaada hogi yani namaz ko dohrana wajib hoga.
Agar ek dirham se kam badan ya kapde par lagi to paak karna sunnat, bagair paak kiye namaz padhi to namaz ho jaayegi magar khilafe sunnat hogi.
(Bahare Shariat hissa 2)
0 comments:
Post a Comment
Comment here