Q 193 Tain me safar kar rahe h or namaz ka time ho gaya h to namaz kaise ada kare ? Is sawal ka jawab diya ja chuka h lekin ek shaks ko batana h.. To kahne ka maqsad ya h ki jis kitab se is sawal ka jawab diya gaya h uska kitab ka naam bata dijiye... Bahut maherbani hogi...

Ans:

Chalti train me farz, wajib jaise witr, mannat ki namaz, sunnate fajr adaa nahi hogi. Train jab ruke uss waqt qibla ru hokar adaa ki jaaye.

Seat par bethe bethe farz, wajib aur sunnate farz adaa nahi hogi ki isme qayaam farz he isliye 2 seat k bich me ya bich loby me jahan log aate jaate he wahan namaz adaa kare. Aur sunnate fazr k alaawa baaki sunnate bila uzr beth kar adaa karne me ulema ka ikhtelaaf he, baaz k nazdik hogi hi nahi aur baaz k nazdik makruh hogi isliye usse bhi khade hokar hi adaa kare.

agar namaz ka waqt tang ho aur andesha ho ki train rukegi nahi to Chalti train me bhi qibla ki taraf ho kr  namaz adaa kare.. Ain qibla ki simt se daahini ya baayi taraf 45 degree k dayre k ander hi sinaa karke namaz adaa krle aur baad me uss namaz ka iaadah kare.

(Fatawa razwiya Sharif)
(Momin ki namaz)
واللہ اعلم

Share on Google Plus

About SUNNI RAZVI

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment

Comment here