wo be asl he (fatawa faqihe millat)
*Mazeed*
Qabr mai istarah ka koi sawal nahi hoga ki kaun hai gaus e azam agar kisi sunni ne istarah kaha hai toh zihalat ki inteha kardi aur aise he zahilo ne ahle sunnat wal jamaat sunniyon ko badnaam karne mai koi qasr baki nahi rakhi,
Aur yeh waqiya joh bayan kiya gaya hai bilkul galat manghadat hai,
Sawal 3 honge aur Sawalat e qabr kya honge aur momin unke jawab mai kya kahenge yeh bhi Hadees e Pak mai hai aur usi ke mutabik sawal wa jawab honge,
Pahela Sawal
((مَنْ رَّبُّکَ؟))
Tera Rab Kaun Hai?
Dusra sawal
((مَا دِیْنُکَ؟))
Tera Deen Kya Hai?
Tisra sawal
((مَا کُنْتَ تَقُولُ فِيْ ھَذَا الرَّجُلِ؟))
Huzur Alaihissalam ki taraf ishara karke pucha jayega, Inke baare mai tu kya kehta tha?
Murda agar musalman hai toh jawab dega,
((رَبِّيَ اللہُ.))
1) Mera Rab Allah عزوجل hai,
((دِیْنِيَ الإِسْلاَمُ.))
2) Mera deen Islam hai,
((ھُوَ رَسُوْلُ اللہِ صلّی اللہ تعالٰی علیْہ وَسلَّم.))
3) Sawal ke jawab mai kahega "woh toh RasoolAllah Salallahu Alai Wassallam hai, woh kahenge tujhe kaise pata toh kahega maine Allah Ta'ala ki kitab padhi ispar imaan laya aur tasdeek ki,
Haan yeh hai ki buzurgane deen apne mureed aur aqidat rakhne walo ki madad farmayenge jaise gaus e azam RadiAllahu anhu wagaira sawalat ke waqt hazir honge aur madad farmayenge.....
Iski koi sanad maujood ho to braye meharbani share kare?
ReplyDelete(Haan yeh hai ki buzurgane deen apne mureed aur aqidat rakhne walo ki madad farmayenge jaise gaus e azam RadiAllahu anhu wagaira sawalat ke waqt hazir honge aur madad farmayenge.....)