Ans:
Halat e janabat me bhi durood e paak padh sakte he, ye huqm mard wa aurat dono k liye yaksa he.
Baaz jagah durood padhna mamnu he jaisa ki Bahare Shariat me he ki "Grahak ko souda dikhate waqt tajir ka iss niyyat se durood padhna ki uss chiz ki umdgi khariddar pr zaahir kare najaiz he. Yuhi kisi bade ko dekh kr iss niyyat se durood padhna ki logo ko uske aane ki khabar ho jaaye taaki uski taazim ko uthe aur jagah chhod de najaiz he. Iske alaawa majid aisi jagah he jahan Durood sharif padhna manaa he jaise jima'a k waqt, istinja k waqt, janwar zibah krte waqt"
0 comments:
Post a Comment
Comment here