Ans:
Zindagi me ek baar Durood e paak padhna farz he, aur mukhtalif jalse me jitni baar naam e Muhammad le ya sune har baar durood e pak padhna wajib he, agar na liya to gunahgar hoga aur sakht waeedo me giraftaar. Han isme ikhtelaaf he ki agar ek hi jalse me kai baar Naam e Muhammad liya ya suna to baaz Ulema k nazdik har baar durood padhna wajib he aur baaz k nazdik ek baar padhna wajib he aur har baar padhna mustahab (behtr) he.
Hame chahiye ki har baar durood e paak padhe ki Hadishe paak me durood e pak padhne ki beshumaar fazilate aai he.
Albatta Naam e Muhammad ki jagah Huzoor ya Sarkar istemal kiya to Durood padhna wajib nahi hoga lekin padhlena behtr he.
0 comments:
Post a Comment
Comment here