Answer:
sab se pahle to zaid ko apni namaaz ko waqt par adaa karne ki aadat banana zaroori hai is liye ki namaaz qaza karne par sakht gunaah hai. Maghrib ke liye 5-6 minutes ka time lagta hai utna time kisi bhi tarah nikaala ja sakta hai aur isha ka waqt to subah sehri ka time khatm hone ke pahle tak hota hai, us se pahle jab bhi padhega adaa hi hogi.
Doosri baat tilawat ki, to tilawat jab bhi ki jaye sawaab milega, albatta agar kisi khaas waqt ke sath koi khaas surah ke padhne ka fayda bayaan kiya gaya hai to uska matlab ye hai ki usi waqt me padhne par wo fayda hasil hoga.
0 comments:
Post a Comment
Comment here