Ans:- Panchi farzon mai baham yani apas mai aur farz wa witr mai tarteeb jaroori hai ki pehle fazr phir zohar phir asr phir magrib phir isha phir witr padhe khwah sab qaza ho ya baaz ada aur baaz qaza,
Maslan zohar ki qaza ho gayi toh farz hai ki ise padhkar asar padhe agar yaad hote huwe asar padhli toh najaaiz hai,
Agar waqt mai itni gunzaish nhi ke waqti aur qaza sab padhle toh waqti aur qaza namazo mai jiski gunzaish ho padhe baki mai tarteeb sakit hai maslan isha aur witr qaza ho gaye aur fazr ke waqt mai paanch rakat ki gunzaish hai toh witr padhle phir fazr pahe aur che rakaat ki wus'aat hai toh isha wa fazr padhe.......
0 comments:
Post a Comment
Comment here