Q 216 Agar Koi Shaks Jumma Ki Namaz K Liye Khutbe K Baad Pahucha Ya Adha Khutba Hone K Baad Pahocha To Kya Uski Namaz Hogi???

Ans:- Sabse pahele yeh khayal rakhen ki Paheli azan hote he sayee (yani juma ke liye koshish) wajib hai aur joh sayee ke manafi ho yani rukawat bane use unka chor dena wajib hai maslan kharid wa farokht wagaira yahan tak ki raasta chalte huwe bhi  kharid wa farokht najaez hai agar khana kha raha tha ki azan e juma ki awaz aayi agar yeh andesha ho ki khayega toh juma faut ho jayega toh khana bhi chor den aur jume ke liye itminaan wa karaar ke saath jaye,

Phir bhi agar us waqt pahucha ki khutba shuru ho chuka tha ya jamaat qaim ho rahi thi ya jamaat shuru hone ke baad pahucha aur jamaat mai shamil ho gaya use juma mil gaya...

Share on Google Plus

About SUNNI RAZVI

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment

Comment here