Ans:- Hajj farz hone ke 8 sharait hain jab woh paye jaye toh hajj farz ho jaata hai warna farz nahi,
Phir iske baad wujub e ada ke 4 sharait hain jiske paye jaane hajj karna wajib ho jaata hai jismai dusri shart hai Aurat ko makkah tak jaane mai 3 din ki raah ya jyada ka raasta ho yani musafat KM ke hisab se 92.5 toh uske saath shuhar ya mehram ka hona shart hai agar yeh naho toh uspar wujub e ada ki shart payi nahi gayi isliye uspar hajj ke liye jaana wajib nahi,
Aur phir safar ke liye chahe hajj ko jaana ho ya kahin aur agar safar 92.5 KM ya isse jyada ka ho toh akele jana jaaiz nahi shuhar ya mehram ke saath jaana hoga akele jaana jaaiz nahi...... Wallahu Ta'ala Aalam......
0 comments:
Post a Comment
Comment here