Ans:- Waise toh Shariat ke mutabik har waqt din mai mubasharat ki ijazat hai aukat e namaaz ke ilawa aur ramzan ke dino mai roza ki halat mai ke ilawa,
Hazrat Imaam Ghazali Alaihirrehma ne kimiyae sa'adat ke safa 266 par ek riwayat tehreer farmayi hai jiska mafhoom hai ki har mahina ki chand raat aur chand ki 15wi shab aur chand ke mahine ki akhri shab mubashrat maqrooh hai ki is waqt shaitaan maujud hote hain,
Tehqiq yeh hai ki in raato mai bhi mubasharat jaaiz hai lekin aihtiaat isi mai hai ki in raato mai mubasharat se parhez karen,
Buzurgane deen ne azan aur namaaz ke aukaat mai bhi mubasharat se bachne ka huqm farmaya wajah yeh ki aulad na farman aur mazhab se begana paida hoti hai...
0 comments:
Post a Comment
Comment here