Q 174 assalam Walaikum :::--:::MASLA :::--::: Ek Shakhs jo har maah apni salary or jo mukhtalif zarey se aamdani ghar me aati h.... in sab qull aamdani me se har maah 3% gareebo miskeeno k liye nikal kar use ada b kar deta h ... To sawal ye h k,,, Kiya us shakhs ko Maahe Ramzan me apne pure saal k bank balance me se 2.50% zakat fir se nikalna hoga.? Jab k us shakhs ko ye baat pata h k maine apne maal se 3% pahle hi nikal rakha h... Barae maherbani islah farmae.. Jazak Allah khaira wa ahsanal jaza.

Ans:- Zakaat dete waqt ya zakaat ke liye maal alahida yani alag karte waqt zakaat ki niyat karna shart hai,

Agar saal bhar khairat karta raha ab niyat ki hai ki joh kuch diya hai zakaat hai toh istarah zakaat ada na hogi balki saal pura hone par zakaat wajib hai,

Aur agar niyat zakaat ki kiya tha toh zakat ada ho jayegi basharte ki saal pura hone par bhi us nisab ka malik rahe aur agar saal khatm hone par ek nisab na raha ya saal ke darmiyan mai woh maale nisab bilkul halaaq ho gaya toh joh kuch diya nafl hai aur joh saksh nisab ka malik naho woh zakaat nahi de sakta yaani agar aainda nisab ka malik ho gaya toh joh kuch pahele diya hai woh uski zakaat mai shumar na hoga.... (Bahar)

Share on Google Plus

About SUNNI RAZVI

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment

Comment here