Ans:- Buzurgane deen farmate hai apne baccho ke acche naam rakho ki acche naam ka asar baccho par accha aur bure naamo ka asar bura padhta hai,
Hazrate Ayesha Siddika RadiAllahu Ta'ala Anha se riwayat hai ki Huzur Nabi E Pak Salallahu Alai Wassallam ne farmaya Accho ke naam par naam rakkho,
Aur ek riwayat mai hai ki Huzur Salallahu Alai Wassallam ne farmaya Anmbiya e kiraam ke naam par naam rakkho (sahihain)
Huzur Salallahu alai wassallam ki adate mubaraka thi ki bure naamo ko badal diya karte (tirmizi)
Aise naam rakhna jinka zikr na quraan e pak mai aaya ho na hadees mai aur na musalmano mai aisa naam istemal hota ho unko nahi rakhna chahiye aur rakhliya toh chahiye ki badal den aur accha naam rakhen.......
0 comments:
Post a Comment
Comment here