Ans:
Raste me pada huva maal/paisa mila aur ye khayal ho ki me usko uske maalik ko talash karke de dunga to uthaa lena behtr he,aur agar andesha ho ki shayad me khud hi rakhlunga aur maalik ko talash na karunga to chhod dena behtr he. Aur agar zanne gaalib ho ki maalik ko na dunga to uthaana *najaiz* he aur apne liye uthaana *haraam* he. Aur agar ye zanne gaalib ho ki me na uthaunga to ye maal/chiz zaae wa halaaq ho jaayegi to uthaa lena zaroori he lekin agar na uthaaye aur zaaye ho jaaye to uss pr taawan nahi.
(bahare shariat hissa 10)
0 comments:
Post a Comment
Comment here