Jawab:
Woh Tammam Uloom Jo Insan Per Farz Hein Or Farz Uloom Sey Muraad Woh Ilm Hey Key Jin Ki Taraf Insaan Deen Mein Mohtaaj Ho Yani Her Woh Ilm Jis Ki Deen Mein Zarurat Padti Hein, Or In Mein Sab Se Pehle Jis Ilm Ka Sikhna Zaruri Hein Who Ilm-Ul-Aqaid Hey, Key Jin Ki Eteqaad Sey Insaan Musalman Sahi Ul Aqidah Sunni Mazhab Hota Hein Or Inkaar Wa Mukhalifat Se Kafir Ya Bidati Hojata Hey.
Maslan: Allah (Azzawajal) Ki Zaat Wa Sifaat, Risaalat Wa Naboowat, Malaika Wa Jin, Qabr Wa Hashr, Dozakh Wa Jannat Or Takdeer Wagaira Ka Ilm, Or Is Key Baad Mas’ail-E-Namaz Ka Sikhna Zaruri Hey, Yani Namaz Key Faraiz Wa Sharait Or Mufsedaat Ka Ilmm Jin Key Janney Sey Namaz Sahi Tarah Se Ada Ki Jasakey, Jab Ramazan Aye To Masail-E Som(Roze Key Mas’ail) Sikhna Lazim Hey Yani Kin Cheezon Se Roza Fasid Ho Jata Hein, Isi Tarah Agar Sahibey Nisab Hey To Masail-E-Zakat Ka Janna, Sahibey Hasiat Ho To Masail E Hajj Ka Sikhna Or Agar Nikah Karna Chahta Hey To Is Key Mutaliq Mas’ail Ka Janna Or Agar Tajir Hey To Mas’Ail E Baiy Shara Ka Janna To Lazim Wa Zaruri Hey.
Isi Tarah Halal Wa Harram Ka Ilm Sikhna Ki Her Musalmaan Ko Iski Hajat Hey Phir Mas’ail -E- Ilm-E-Qalb Ka Janna Yani Faraizey Qalbiya Maslan Tawazo,Ikhlaas, Tawakkal Wagaira. Or In Key Husool Key Tarikon Ka Janna Or Mohremaat-E-Batina Ka Ilm Maslan Takabbur, Riya, Ujb Wa Hasad, Wagairah Or In Sey Bachney Key Asbab Ka Ilm Bhi Her Musalmaan Per Farz Hein, Jis Tarah Bey-Namazi Fasiq Wa Fajir Or Murtakey Kabair Hey Isi Tarah Riyakaar, Gibat Wa Hasad Karney Wala Gunahe Kabira Ka Murtakib Hota Hey.
0 comments:
Post a Comment
Comment here