Ans.... ALLAH KE TAMAM NABI APNI
QABRO ME ZINDA HAIN:
:
.
Al-Quran: ﻋﻨﺪ ﺭﺑﻬﻢ ﻭﻻ ﺗﺤﺴﺒﻦ ﺍﻟﺬﻳﻦ ﻗﺘﻠﻮﺍ ﻓﻲ ﺳﺒﻴﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﺃﻣﻮﺍﺗﺎ ﺑﻞ ﺃﺣﻴﺎﺀ
ﻳﺮﺯﻗﻮﻥ
(Sureh Al-Imran 169)
Tarjuma: Aur jo log Allah ki raah
me qatl kiye jayen unhehargiz
murda guman matkaro, Balki wo zinda hain aurrizq diye jate hain.
.
TAFSIR#1: Is ayat ki tafsir meQazi
Sanaullah Panipati likhtehain:
Mufasserin ki ek jamat is ayat ke
tehet Shahido ki zindagi ka bayan karte hain, lekin ye ayat tamam
Ambiya, Siddiqin, Salehin ki hayat
par dalalat karti hai.
Kyunki Shahido se bada maqam
Siddiqin ka hai, aur unse bada
maqam Ambiya ka hai, isiliye Ambiya ki wafaat ke baad
unki zauja ko dusra nikah karna
jaez nahi,
[Tafsir Mazhari, Vol 1, Page 151]
.
. Isi Ayat ki Tafsir me Wahabiyo ke dil aziz Imam Qazi Shawkani likhte
hain:
TAFSIR#2: Quran Paak me ek ayat
hai jo Shahido ki zindagiper
istedlal karti hain,aur unki zindagi duniya
ke jaisi hihai, to fir Ambiya ki Hayat ka aalam
kya hoga?
Aur Imam Munziri ki Hadees kehti
hai ki Ambiya apni Qabro me zinda
hain, aur iskiSanad ko Imam Baihaqi ne
Sahi likha hai. [Nayl al-Awtar, Vol 3, Page 282]
.
Imam Jalaluddin Suyuti likhte hain:
TAFSIR#3: Ambiya apni Qabrome
zinda hai, ye is Ayat ke Zahiri mayno par
bhi sabit hai,
ya Jo Mayne Muhaddesin is se
nikalte hain usse bhi.
[al-Hawi lil Fatawa, Vol 2, Page
149] .
AMBIYA KI HAYAT PAR HADEES: .
HADEES#1: H. Abu darda r.a
farmate hain,
Rasoolullah alaihesalam ne farmaya:
ﺇﻥ ﺍﻟﻠﻪ ﺣﺮﻡ ﻋﻠﻰ ﺍﻷﺭﺽ ﺃﻥ ﺗﺄﻛﻞ ﺃﺟﺴﺎﺩ
ﺍﻷﻧﺒﻴﺎﺀ ﻓﻨﺒﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﺣﻲ ﻳﺮﺯﻕ Allah ne Zameen par Haram kar
diya hai ki wo Ambiya ke jismo ko
khaye, so Ambiya apni Qabro me zinda
hain, aur apna Rizq paate hain.
(Sunan Ibn Maja, Vol 5, Page 207,
Hadith 1706) (Mishkat al-Masabih, Vol 1, Page
304, Hadith 1366) .
Is Hadees ki Sharah me H. Shah
Abdul Haq Muhaddis Dehelvi
Bukhari r.a likhte hain,
Ambiya apni Qabro me zinda hain, jaise ki wo Duniya me Hayat rehte hain.
[Ashi’ah al-Lam’at – Vol. 1 Pg. 576]
.
Is Hadees ki Sharah me Mulla Ali
Qari likhte hain:
Ambiya ki Hayat-e-Duniya aur Baad-e- Wafat ki Hayat me koi farq
nahi hai,
isliye kaha jata hai ki Allah ke wali
marte nahi, sirf ek jaga se dusri
jaga ka safar karte hain.
[Mirqat – Vol. 2 Pg. 212] . HADEES#2: H.Aws Ibn Aws farmate
hain,
Nabi sallallaho alaihe wasallam ne
farmaya:
ﺇﻥ ﺍﻟﻠﻪ ﺣﺮﻡ ﻋﻠﻰ ﺍﻷﺭﺽ ﺃﺟﺴﺎﺩ ﺍﻷﻧﺒﻴﺎﺀ Allah ne Zameen par Ambiya ke
jismo ko haram kar diya hai.
(Sunan Abi Dawood, Vol 3, Page
404, Hadith1049)
(Sunan Nisa’ee, Vol 5, Page 238,
Hadith 1385) (Sunan Ibn Maja, Vol 3, Page 447,
Hadith 1138)
(Mishkat al-Masabih, Vol 1, Page
304, Hadith 1361)
.
Is Hadees me H.Aws Ibn Aws ki is riwayat ko Imam Ahmed ne
Musnad me, Ibne Abi Shayba ne
Musannaf me, Imam Tirmizi ne
Sunan me, Imam Ibne Maja ne
Sunan me, Imam Abu Dawood ne
Sunan me, Imam Nasai ne Sunan me,Imam Darmi ne Musnad
me,Imam Ibne Khuzayma ne
Sahihme, Imam Hibban ne Sahih
me,Imam Hakim ne Mustadrak
me,Imam Tibrani ne Kabir me,
Baihaqi ne Hayat-al-Ambiya me, Imam Suyuti ne Amba-Al-Azkiya
me, Imam Zahabi ne Hakim ki
Sanad ko aur Imam Nawawi ne
Azkar me Sahih likha hai.
.
Is Hadees ki Sharah me Mulla Ali Qari likhte hain:
Beshak Ambiya apni Qabro me
zinda hain.
[Mirqat – Vol. 2 Pg. 209]
.
Iski Sharah me Sheikh Abdul Haq Muhaddis Dehelvi likhte hain:
Beshak Ambiya zinda hain, aur
isme koi shak nahi ki unki Zindagi
dniya ki hi tarah Jismani hai,
Shahido ki tarah Roohani nahi.
[Ashi’ah al-Lam’at – Vol. 1 Pg. 574] .
HADEES#4: H.Anas Bin Malik
farmate hain:
Nabi sallallaho alaihe wasallam ne
farmaya: ﺍﻷﻧﺒﻴﺎﺀ ﺃﺣﻴﺎﺀ ﻓﻲ ﻗﺒﻮﺭﻫﻢ ﻳﺼﻠﻮﻥ Ambiya apni Qabro me zinda hain
aur apne Rab ke liye Namaz
padhte hain.
.
H.Anas ki is riwayat ko Al-Bazzar ne
Musnad me, Abu Ya'ala ne Musnad me, Ibn`Adi ne al-Kamil fi
al-du`afa’ me, Tammam al-Razi ne
al-Fawa’id me, al-Bayhaqi neHayat
al-anbiya’ fi quburihim me, Abu
Nu`aym ne Akhbar Asbahan me, Ibn
`Asakir ne Târeekh Dimashq me, al-Haythami ne Majma` al-
zawa’id (8:144) me, Al-Suyuti ne
Anbâ’ al-azkiya’bi-ha yat al-anbiya
me’, aur al-Albani ne Silsilat al-
ahadith al-sahihah me Sahih sanad qarar
diya.. .
Imam Suyuti farmate hain,
Qabro me Hayat-e-Ambiya par
hamara Eiman-e-Qatiyaa n hai.
. .
HADEES#5: H.Anas Bin Malik r.a bayan karte hain ki Rasoolullah
alaihesalam ne farmaya:
Meraj ki raat mai Musa alaihesalam
ke paas aaya, Ek Riwayat me hai,
Mera Kaseeb Ahmer ke paas se
guzar hua, Daraan Halaanki 6. Musa alaihesalam apni Qabr me khade
hue namaz padh rahe the.
(Muslim, Kitabul Fazail, H.no. 6107)
(Nasai, H.no. 1631, 1632, 1633,
1634)
. .
HADEES#6: H.Anas r.a bayan karte
hain ki Rasoolullah alaihesalam ne
farmaya:
Mera H.Musa alaihesalam ke paas
se guzar hua to wo apni Qabr me namaz padh rahe the.
Ek Riwayat me hai, Meraj ki shab
mera guzar hua. (Muslim, Kitabul Fazail,
H.no. 6108)
.
Kya Namaz murde log padhte hain?
Hargiz nahi,
Namaz zinda logo ke liye hai, aur Musa
alaihesalam apni Qabr
me namaz padh rahe hain to ye
unki Zindagi ka suboot hai. .
Jab H.Musa alaihesalam zindahain,
to fir Mehbub-e-Khuda sallallaho
alaihewasallam kyun na zinda ho?
Home / HADEES /
Quraan /
wahabi
/ Q 443 Huzur Zinda hai is taaluq se koi hadees hawale ke sath hoto jaldi send kare.
Ek wahabiya ko jawab dena hai abhi
- Blogger Comment
- Facebook Comment
Subscribe to:
Post Comments
(
Atom
)
0 comments:
Post a Comment
Comment here