1⃣) Isha ke baad jaldi sone ki fikr karna, duniya ki baat na karna. (Bukhari: 599)
2⃣) Sone se pehle kapde tabdeel karna. (Subulul Huda Warrashaad: 7/359)
3⃣) Ba Wuzu sona. (Bukhari: 6311)
4⃣) Teen martaba bistar jhaad kar sona. (Bukhari: 7393)
5⃣) Teen teen salaai surma lagaana. (Tirmizi: 2048)
6⃣) Teen martaba istigfaar (ﷺ) "Astagfirullaahal 'azeemallazee laa ilaaha illaa huwal haiyyul qaiyyoomu wa atoobu ilaih" padhna. (Tirmizi: 3397)
7⃣) Tasbeeh-e-Faatimi Subhanallah 33 martaba, Alhamdulillah 33 martaba, Allahu akbar 34 martaba padhna. (Bukhari: 5361)
8⃣) Sura-e-Ikhlaas, Sura-e-Falaq aur Sura-e-Naas padhna. (Bukhari: 5017)
9⃣) Daahni karwat qibla rukh let kar haath rukhsaar (gaal) ke neeche rakhna. (Bukhari: 4774, Musnad-e-Abi Ya'ala: 4774)
��) Pet ke bal aundha na letna. (Bukhari: 2768)
1⃣1⃣) Sone ki dua "Allahumma bismika amootu wa ahyaa" padhna. (Bukhari: 6314)
<====================>
Hlw
ReplyDeleteDahini karwat qibla rukh wali hadees jo bukhari sharif 4774 ka hawala dye wo kis nuskhe ki hadees number h baraye karam bata de mein dundh nahi para hu 4774
ReplyDeleteSahih bukhaari 5361,5017,6311,7393
Delete