Q 252 Agar kisi musalman ne Dusre musalmaan ko kaafir kaha.... To Kafir kehne waale ke baare me kya hukm hai....???

Ans:

Sadrusharia badruttariqah Mufti Amjad Ali Aazmi علیہ رحمہ farmate he ki kisi musalman ko kafir kaha to ta'azeer (sazaa) he. Raha ye ki kehne waala khud kaafir hoga ya nahi to isme 2 surate he.

1. Agar usse musalman jaanta he to kaafir na huva

2. Aur agar usse kaafir aeteqaad karta he (yani ye aqida rakhta he ki ye kafir he) to khud kafir he ki musalman ko kafir janna deen e Islam ko kufr janna he aur deen e Islam ko kufr janna kufr he.
Han agar usme aisi baat paai jaati he jiski bina par takfir ho sake aur usne usse kaafir kaha aur kafir jaana to kafir na hoga.

Al makhuz: Kufriya Kalimat k sawal jawab ba-hawala Bahare Shariat.

Share on Google Plus

About SUNNI RAZVI

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment

Comment here