Ans:
Aurat k liye sona aur chandi k alaawa dusre kisi dhaatu k zewar pehenna najaiz o gunah he. Aur sona chandi k alawa dusre dhatu k zewar pehenkr namaz padhi to namaz makruhe tehrimi wajibul iaada hogi yani us namaz ko dohrana wajib hoga.
Aurat ka baalo ka joda banakr namaz padhna jaiz he lekin dourane wuzu masah krtr waqt ye khayal rakhe ki balo k jodo pr masah na kare balki jo baal sar pr uge huve he uspr masah kare, latke huve baal ka masah kafi nahi he, chouthai sar ka masah zaroori he.
0 comments:
Post a Comment
Comment here