Ans:
Farz ki pehli 2 rakat me Surah fatiha k baad Attahiyyat padhi to Sajd e sahw wajib hoga aur surah fatiha se pehle padhi to sajd e sahw wajib nahi.
Farz ki pichhli 2 rakaat me qayam me Attahiiyat padhi to Sajd e sahw wajib nahi.
Nafl, sunnat aur witr ki kisi bhi rakaat me Surah Fatiha k baad Attahiyyat padhi to sajd e sahw wajib he khwah thodi padhi ho ya aadhi ya Attahiyyatu lillah tak padhe har surat me sajd e sahw wajib.
Agar Kisi ne qaaida me bhul kr Attahiyyat padhne k bajaye bhul kr Surah fatiha ya koi aur Surah padhli aur yaad aaya to fouran Attahiyyat shuroo krde. Aur iss soorat me sajd e sahw wajib hoga.
Agar *Qaaida e oola* me pehle Attahiyyat padhi fir bhul kr usme baad Surah fatiha ya koi Surah padhi to uss pr sajd e sahw wajib he aur agar *qaaida e akhira* me aisa hua to sajd e sahw wajib nahi.
(Masail e Sajd e Sahw)
Note: Sajd e sahw usi soorat me hoga jab bhul kr mazkura galti ki ho, agar qasdan mazkura galti ki to sajd e sahw se kaam na chalega, namaz ko dohrana hoga.
0 comments:
Post a Comment
Comment here