Q 221 bahot se warsi madari hazrat imam hussain ko alahi salam likhte jaise shiya bhi bolte to kya wo sahi ya sirf r.a kahna chahiye or ye bhi bata diziye alahi salam ka matlab kya h rahmtulla kisko kyo lagate h

Ans:

Alaihissalam (علیہ السلام) yani Un par Salamati ho.

Hamare is daur me ye baat aam hoti jaa rahi hai k sayyedna Ali e Murtaza, Hasnain kareemain, sayyeda Fatima wa Deegar Aal e Rasool ﷺ ke afrad e kareema ke ilaawa saabiqa Ambiya Alaihimussalam ki Baaz Ahl par Lafz "Alaihissalam" ka istemaal karte hain. Awaam ke ilaawa khwaas ki bhi Aadat ban gayi hai k Shia Firqe ke dekha dekhi ye Marz barh raha hai.

Akaabir Saaleheen Ulama o Mashaikh E Muhaqqiqeen ka yahi Mauqif e Mukhtar hai ke Gair e Ambia o Malaaika ke liye Alaihissalam Na Istemaal kiya jaaye ... behtar yahi hai k aisa itlaaq na ho balke Aadat khatam kar di jaaye taake Mazhab e Shia se Tashaaboh aur us ki Tarweej na ho ...

Islami qaayeda hai k Badmazhab qaum ke sath kisi tarah bhi Mushaabahat na ho, un se Mushabahat ke tamam tareeqe tark karne chahiye .

Wajah zaahir hai k Sunni Bhola Bhala hai use Shia Apne Mazhab me laane ki kai Tadbeeren bataate hain
Ek yahi hai k 12 Imamo ke liye Duaaiya Jumla "Alaihis Salam" Tajweez kar rakha hai jo kisi dosre Ummati ke liye Istemaal nahi hota hai balke keh nahi sakta Abu Bakar Alaihis Salam, Umar Alaihis Salam, Usman Alaihis Salam, balke in Hazraat ke sath Razi-Allahu Ta'ala Anh ka Iste'mal hota hai. Awaamun Naas ye sab kuch dekhte hain aur agar wo khud is taraf mutawajjeh nahi hote to Jamaa't e Mujtahideen un ko mutawajjeh karti hai aur un ko ye dikhati aur samjhati hai k ye Du'aaiya jumla jo Hazraat e Ambiya e kiram Alaihimus Salam ke Mubarak naamo ke sath bhi bola jata hai hamare aimma ke naamo ke sath bhi bola jata hai. Isi se zaahir o baahir hai k ye 12 Afraad zumra e Ambiya me shamil hain aur un ki imamat Ma'mooli imamat nahi balke Hazraat e Ambiya e Maa Sabaq ki imamat hai.

Faayeda:
Agar Baaz Ulama ki tahqeeq Baraaye Gair Ambiya Alaihissalato wassalam ya Alaihissalam kehne ko jaayez qarar dete hain aur un ke qaul par Koi Amal karta hai to wo pehle un 2 hazraat (Hazrat Abu Bakr, Hazrat Umar)  ke sath is ka istemaal kare jo Ahl e Sunnat o Jamaat ke nazdeek shia ke 12 imamo se ba ittefaq afzal hain aur wo Hazrat Abu Bakr Aur Hazrat Umar رضی اللّٰــه تعالیٰ عنــــــــہما hain. mujawwizeen ne agar jawaaz ka bayan kiya hai to tamam sahaba ulama o sulaha ke liye kiya hai sirf Ahl e Bait e At'haar ke 12 afraad ke liye nahi kiya hai.

In halaat ko dekhte hue hazraat e ahl e bait e at'haar رضی اللّٰــه تعالیٰ عنــــــــہم ke zikr ke waqt lafz e alaihis salam ki dua karne ko tark kiya jaaye taake Shia Awaam e Ahl e Sunnat ko Gumraah na kar saken...

Aur rahi ye Baat ke Hazrat Maula Ali ke Naam ke sath KarramAllahu Ta'ala waj'hahul kareem kyu lagaya jata hai to
Ek Riwaayat Bayan ki jaati hai ke Khaariji Hadrat Maula Ali ko Sawwadallahu Waj'hahu (Allah Un ka Chehra
Siyaah farmaaye) Kaha karte the .. Ma'az-Allah
Lehaaza Ahl e Sunnat ki ye Alaamat ho gayi ke wo Ap ke Naam ke sath Karramallahu Ta'ala Waj'hahu (Allah
ap ke chehre ko Muazzaz Banaaye ) Istemaal karne lage.. Wa-Allahu Ta'ala A'lam

Share on Google Plus

About SUNNI RAZVI

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment

Comment here