Ans:
Dadhi ke baal agar ghane naa ho to jild (chamdi) ka dhona farz hai aur agar ghane ho to dadhi gale ki taraf dabane se jitni baal chehre ke gird aye unka dhona farz hai aur jadd ka dhona farz nahi or jo (bal) halqe se neeche hon unka dhona zaruri nahi.
Ghane se muraad ye ki itne ghane baal ho ki chamdi nazar na aaye.
Baalo me khilaal karna sunnat he agar khilal na kiya tab bhi wuzu ho jayega lekin sunnat ka tarq paaya jayega.
Aur chehre se niche jo dadhi baal latakte he usse dhona aap bhul gaye the baki sab dho liya tha to wuzoo ho gaya.
واللہ تعالی اعلم
0 comments:
Post a Comment
Comment here