Ans:
Tulue e aftab ki 20 minute,
Gurube aftab se pehle ki 20 minute
Nisfunnahar (jab suraj sar pr ho)
Ye tin waqto me namaz padhna makruhe tehrimi (najaiz) he.
Nisfunnahar ka waqt sab jagah k liye alag alag rehta he aur season wise badalta rehta he. Isliye aap jis shahar me he uss jagah ka Nisfunnahar ka waqt dekhlijiye.
Maslan Aaj Ahmedabad me nisfunnar ha waqt 12.13pm se lekar 12.52 tak ka he. To iss time gap me namaz nahi padh sakte.
12 baje ka waqt aur namaz ka koi talluq nahi he. Agar kisi jagah niafunnahar ka 12 baje k baad chalu hota he jaise 12.15 ko to uss jagah pr 12 baje namaz padhi jaa sakti he. Aur agar kisi jagah pr 12 baje se niafunnahar ka waqt shuroo hota he to 12 baje namaz nahi padh sakte.
Raat k 12 baje namaz padhna jaiz he. Logo me jo mashhoor he ki raat k 12 baje namaz nahi padh sakte ye galat he.
0 comments:
Post a Comment
Comment here