Ans:- Shirk kya hai iski haqiqat kya hai is baare mai hazrat allama sa'aduddin taftazani rehmatullah alai ne apni kitab "sharah aqaid" mai farmaya ki shirk ke mana yeh hai ki Allah Ta'ala ki uluhiyat mai kisi ko shareek tharana ya toh istarah ki Allah Ta'ala ke siwa kisi ko wajibul wujud maan lena jaisa ki majusi kehte hai ya is tarah ki Allah ta'ala ke siwa kisi ko ibadat ke layek maan lena jaisa ke but parasato ka aqida hai,
Hazrat allama ne is ibarat mai faisla kar diya ki shirk ki do he surate hain ek yeh ki Allah ta'ala ke siwa kisi ko wajibul wujud mana jaye, dusri yeh ki Allah Ta'ala ke siwa kisi ko ibadat ke layak maan liya jaye......
0 comments:
Post a Comment
Comment here