Ans:
Jab kisi sharai uzr ki wazah se talaq dene ki noubat aa jaaye to Shariat e mutahhara ne talaq dene ka tariqa ye bataya he ki Aurat k paaki k ayyam me usse Sirf aur Sirf ek talaq di jaaye misal k tour pr yu kahe ki Mene tujhe talaq di. Isse talaq e raj'ee ya talaq e sunnat kehte he. Iss talaq me iddat k douran biwi se rujoo kiya ja sakta he yani bagair nikah k aurat ko wapas nikah me liya jaa sakta he aur agar iddat guzar gai to iddat k baad naye nikah se bagair halala k aurat se nikah kiya ja sakta he.
Rujoo ka matlab ye he ki jis aurat ko talaq e raj'ee di iddat k ander usse usi pehle nikah pr baaki rakhna.
Raj'at ka tariqa ye he ki 2 aadil gawaho k samne kahe: "Mene apni biwi se rujoo kiya ya mene usse wapas liya". Agar gawaho k samne na ho to bhi rujoo ho jata he.
Raj'at ka dusra tariqa ye bhi he ki mard biwi se jimaa krle ya sehwat k sath bosa le ya shahwat se badan ko chhoo le wagaira. Isse aurat wapas mard k nikah me aa jayegi.
Aurat ko napaki k ayyam me talaq dena najaiz o gunah he albatta talaq di to talaq waqe ho jayegi aur napaki me talaq e raj'ee di thi to rujoo krna wajib hoga.
0 comments:
Post a Comment
Comment here