Q 331 sandal nikalna chaiye....fatiha darood karni chaiye iska zikar Quran shareef mai hua hai ?? Toh kis tarjumai mai ? Rahnumai farmayen Nawazish hogi...

Answer:
Kisi kaam ke karne ke liye ye zaruri nahi hai ki uska zikr Quran me ho tabhi kar sakte hain. Albatta kisi kaam ke karne se mana karne ke liye ye zaroori hai ki Quran ya Hadees me us se mana kiya gaya ho.

Example: Ham Chicken khaate hain, uske bare me Quran ya Hadees me ya nahi likha hai ki Chicken khaana jaiz hai usko khaao. Albatta ham Suwar (Pig) nahi khaate hain aur uske khaane ko haraam jaante hain is liye ki Quran Shareef me uske bare me likha hai ki uska khaana haraam hai.

Isi tarah Sandal nikaalna, buzurgo ka urs manana etc etc agar shariat ke dayre me rah kar ho to jaiz hai aur uske jaiz hone ke liye Quran ya Hadees me likha hona bhi zaroori nahi hai. Albatta agar koi sandal nikaalne me dhol, baaja, taasha, qawwali, naach wagairah haraam kaam kare to ye kaam karna uske liye haraam aur gunaah hoga.
���� is tarah ke eterazaat jo aam tor par Wahabi Deobandi karte hain aur aam logo ko zahen kharaab karte hain is ke liye hamari kitaab:
عقائد ومعمولات اہل سنت
Aqaaido Mamoolate Ahle Sunnat

aur uska English Translation:
The Ahlus Sunnah: Beliefs & Practices

zaroor padhen, in shaa Allah phir koi batil firqe ka manne wala aap ko shak aur shubhe me nahi daal payega.

Share on Google Plus

About SUNNI RAZVI

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment

Comment here