Ans:
State ka koi etebaar nahi he, gaanv ya shahar ka etebaar hoga.
Zaid agar apne ganv/shahar se dusre ganv/shahar jaata he jiske bich ka fasla 92km se zyada he aur zaid ki niyyat uss shahar me 15 din se zyada rehne ki he to iss condition me zaid uss shahar me muqim ho jayega, wahan tamam namaze puri adaa karega lekin dourane safar yani ki raste me namaz qasr karega.
Aur wapis apne gaanv/shahar 2ya 3 din ki niyyat se aaya to agar wo gaanv/shahar zaid ka *watane asli* he to zaid apne ganv me bhi muqammal namaz ada karega agarche 2 ya 3 din k liye hi ruke.
*Watane asli*: Wo jagah he jahan uski paidaish hui he ya uske ghar k log yani biwi bache jahan mustaqil (permanent) tour pr rehte ho aur uss jagah usne daimi sukoonat krli aur ye irada ho ki iss jagah daaimi tour pr rahunga aur yahan se na jauga.
0 comments:
Post a Comment
Comment here