Fi nafsihi muharram me sharbat pilaane me harj nahi he lekin taziyadari k Juloos se hatt kar iska ehtmaam kiya jaaye.
Aalim e din par paisa kharch karna bil subha jaiz he balki kaafi sawab ka kaam he. Agar waqai log aalim e din ko bataure hadiya 1 lakh tohfaa dete he to ye bahot sawab ka kaam he ki Aalim e din ki fazilat me bahot si hadishe paak aai he. Aur kitabo me yahan tak likha he ki agar kisi ne Aalim e din ko sirf wuzoo k liye paani bhi diya hoga to wo iss fel sabab Aalim roze Qayamat uski shafa'at karega.
0 comments:
Post a Comment
Comment here