Q 207 ek masjid me juma ki farz namaz loudspeaker me ad aur us city me baqi sabhi sunni masjido me bina loudspeaker ke hoti ho to kya us masjid me namaze juma parhe ya nahi ya bina loudspeaker wali masjid me chale jana durust hoga?

Ans:- baaz furui aur naye paida huwe masail jinka zikr sharahatan khule alfaaz mai Quraan e Pak aur Hadees e Pak ya fiqh ki kitabo mai nahi milta unke talluk se ulama ki kabhi kabhi raaye alag alag ho jaati hai khaas kar aaz science ke daur mai nayi nayi ijadaat ki buniyad par aise masail kasrat se saamne aarahe hai jinmai ek loudspeaker bhi hai lehaza aaz ke ulama mai iqtilaaf ho jaana koi tajjub ki baat nahi hai lekin sabke nazdeek is mai koi iqtilaaf nahi ke bina iske namaaz nahi hogi,

Muqtadi  agar aisi jagah par namaaz padh sakte hai jahan iska istemal nahi hota toh woh wahin namaaz padhen aur agar yeh nahi toh jahan iske saath namaaz hoti ho wahan agli safon mai khade hone ki koshish karen jahan imaam ki asl awaz pahuch sakti ho,

Yeh bhi yaad rakhen ki iske istemal aur iqtida karne ke baare mai hindustan ke ulama ka ek bada tabka ispar iqtida najayez batata hai aur mukhtasar ulama ki jamaat jayez kehti hai usmai bhi kuch shart se he jayez kehte hain isliye bachne ki raah ikhtiyaar karna chahiye....Wallahu Ta'ala Aalam

Share on Google Plus

About SUNNI RAZVI

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment

Comment here