Q 196- assalam o alaikum Hazrat. Nalain Sharif pe aaqa ka naam likhna kaisa?

Ans:

Na'alain e pak ke tafre me Ya Allah, Ya Rasoolallah, Bismillah sharif wa digar kalimaat muqaddasa likhna jaiz he ki ye asl na'alain paak nahi agarche a'aejaz wa ahtraam aur husoole munafae me asl ke huqm me he.
Isko qat'an haraam wa gustakhi bataana galat wa baatil he isliye ki huqm ka. Madaar niyyat pr he. Han agar Ma'azAllah likhne waale ki niyyat be adbi he to iska ye fel sirf haraam wa gustkahi hi nahi balki islam se khaarij kardega.aur agar uski niyyat aejaz wa ahtraam aur husoole barkat ki niyyat he to mustahiq ajr wa sawaab he.

Ameer ul Mo'meenin Hazrat Farooq e aazam radiyallahu anhu ne sadqe k janwaro ki raano pr جیس فی سبیل اللہ (Allah ki raah me waqaf he) daag farmaya tha haala ki unki raane bahot mahal be ahtiyati he

Fatawa Markazi darul ifta Safhaa 352
Fatawa Razwiya Sharif

Share on Google Plus

About SUNNI RAZVI

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment

Comment here