Q 189 "DAEN MAHAR" ki raqam kam se kam aaj kal ke hesab se kitna hona chaiye (idian Rupis.).

Answer:
Shaadi me 10-12 lakh kharch karne me koi ye nahi puchta ki shaadi me kam se kam kitna kharch karna chahiye aur mahr jo aurat ka haqq hai uske bare me kam se kam ka sawaal? Kamaal ka question hai.

Mahr kam se kam nahi balki zeyada se zeyada dena chahiye. Maher jyada se jyada hona chahiye iska matlab yeh hai ki  jitna jyada muqarrar karen accha hai apni hesiyat ke mutabik jis tarah shaadi mai kharch kiya jaata hai usi tarah haq maher bhi muqarrar kiya jaaye,

Kam se kam maher 10 dirham yani 33 grm chandi ki qimat hona chahiye joh 2000 ke andar hogi aur jyada ki koi hadh nhi lekin aaz ke zamana ke hisab se 2000 koi value nahi rakhta isliye apni istetaat ke mutabik jyada se jyada muqarrar karen...

Share on Google Plus

About SUNNI RAZVI

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment

Comment here