Ans:
Masjid k ander apni zaat k liye sawal karna manaa he aur aise saail ko dena bhi jaiz nahi.
Sadrusharia, badruttariqah, Mufti Amjad Ali aazmi علیہ رحمہ farmate hain:
"Masjid me sawal karna haraam he aur uss saail ko dena bhi manaa he. "
Aala Hazrat Farmate hain:
" Aaimma e din radiyallahu ahnhum farmate hai: jo masjid k saail ko ek paisa de wo sattar paisa raahe khuda me aur de ki uss paise k gunah ka kaffara ho."
Agar koi waqai haajatmand he to usse chahiye ki khud masjid me suwaal karne k bajaaye imam sahab se rabta karke apni haajat bayan kare, ab imam sahab uski madad k liye namazio se darkhast kare to isme koi harj nahi.
0 comments:
Post a Comment
Comment here