Ans jaiz hai fatiha mai joh padha jaata hai woh Allah Ta'ala ka qalam hota hai aur usi ke naam se usi ki ibadat ki niyat se padha jaata hai aur sawab marhoom ko baksha jaata hai isliye jinhe sawab pahuchana maqsood hota hai unka naam liya jaata hai taaki Allah Unhe iska sawab ata farmaye
Aur kisi ko bhi khana khilaya jaata hai jise fatiha ka khana kaha jaata hai toh yeh bhi Allah ke naam par he khilaya jaata hai haan khilane ka joh sawab hai woh marhoom ko baksha jata hai... Insan mai koi kaam Gair Allah ke liye nahi hota balki Allah Ta'ala he ke liye kiya jaata hai tabhi toh sawab milta hai aur sawab marhoom ko pahuchana yaani isale sawab karna maqsad hota hai....
0 comments:
Post a Comment
Comment here