Ans:- Khutba zikre Ilahi ka naam hai agarche ek martaba khutba ki niyat se zikre Ilahi kar diya yani سبحان اللہ ya الحمد للہ ya لا الہ الا اللہ kehne se khutba ka farz ada ho jayega aur namaaz ho jayegi lekin aisa karna maqrooh hai,
Khutba mai Allah Ta'ala ki wahdaniyat aur RasoolAllah Salallahu Alai Wassallam ki risalat ki gawahi dena sunnat hai aur aap par durood bhejna kamse ka ek ayat Quran e Pak ki tilawat karna khutba mai waaz aur nasihat hona khutbe do hona dusre khutbe mai musalmano ke liye dua karna yeh sab sunnat hai iska hona jaroori hai haan khutba bahut taweel naho ki samaeen ko takleef pahuche lekin sunnat ke mutabik hona jaroori hai...
Aur khutba mai khilfa e rashedeen ka aur sahaba e kiraam ya ahle bait RadiAllahu Ta'ala anhum ka zikr mustahab hai.....
0 comments:
Post a Comment
Comment here