Ans:- Allah Ta'ala ke khas bande jinhe auliya kaha jaata hai unke parda farmane ke baad unki muqaddas qabro par chadar ya phool daalna jaaiz hai ismai maslehat yeh bhi hai ki unki mubarak qabro ki pehchan ho jaati hai ki yeh kisi wali ka mazar hai aur unka adab aur aihtraam kiya jaaye aur dusro se alag unki pehchan bana na hai, Aur agar batti charag jalana ya loban isse maqsad agar zaaireen ko nafa pahuchana maqsad hai toh harz nahi hai aur insab sab mai yeh jaan lena jaroori hai ki qabr se alahida kisi jagah par jalana jaaiz hai jabki wahan jiyarat ke liye aane wale ke liye kisitarah nafa pahucha ne ke liye aisa kiya jaaye, Isi tarah unke mazaraat ko bosa lena chumna isse parhez karna chahiye aur adab bhi isi mai hai ki na chume na haath lagayen balki char haath ke fasle par khade hokar fatiha padhen.......
Home / auliaallah
/ Q 8 Hazrat mazarat par chaadar chadhana , agarbati jalana, mazarat ko bosa lena ,candles jalana kaisa hai hamare sunni ulema iske bare me kya kahte hai ?
- Blogger Comment
- Facebook Comment
Subscribe to:
Post Comments
(
Atom
)
0 comments:
Post a Comment
Comment here