Ans NAMAAZ QAZA E UMRI Agar Zindagi Mai Bahot Sari Qaza Namaaze Ho Toh Nawafil Ki Jagah Qaza Namaaze Padhe Aur Taakhir Se Adaa Karne Ke Liye Apne Rab Se Maafi Maange, NAMAAZ QAZA E UMRI Agar Zindagi Mai Bahot Sari Qaza Namaaze Ho Toh Nawafil Ki Jagah Qaza Namaaze Padhe Aur Taakhir Se Adaa Karne Ke Liye Apne Rab Se Maafi Maange, Aala Hazrat Azimul Barkat Imam Ahmed Raza Fazile Bareilvi Radiyallahu T’aala Anhu Irshaad Farmate Hain Qaza Har Roz Ki Namaaz Faqat 20 Rakaton Ki Hoti Hai Joh Farz Hain, 2 Fajr ki, 4 Zohar Ki, 4 Asr Ki, 3 Magrib , 4 Isha, 3 Vitr, Agar Waqte Buloog Na Maloom Ho To Iske Liye Mard 12 Baras Aur Aurat 9 Baras Ki Umr Se Namaaz Ka Aisa Hisaab Lagaaye k TakhMeena Mein Baaqi Na Reh Jaaye, Zyaada Ho Jaaye To Harz Nahin Aur Wo Sab Baqadre Taaqat Rafta Rafta Jald Adaa Karein Kaaheeli Na Karein, Jab Tak Farz Zimme Rehta Hai Koi Nafl Qubool Nahin Kiya Jaata, Niyyat Unn Namaazon Ki Iss Tarah Ho Maslan 100 Baar Ki Fajr Ki Qaza Hai To Har Baar Yun Kahe Ki Sab Se Pehli Joh Fajr Mujhse Qaza Hui Har Dafa Yehi Kahe Yaani 1 Adaa Huyi Toh Baakiyon Mein Joh Sabse Pehli Hai Isi Tarah Zohar Wagairah Har Namaaz Mein Niyyat Karein, Jis par Bahut si Namaaze Qaza Ho Uske Liye Takhfeef Ki Surat Ye Hai ke 1) Farz Ki Teesri Chouthi Rakaaton Mein Surah-e-Fateehah Ki Jagah 3 Baar Subhanallah Kehkar Rukoo Mein Jaaye, 2) Nez Tasbeehaate Rukoo Aur Sujood Mein Sirf 1 Baar Subhana Rabbiyal Azeem Aur Subhana Rabbiyal A’ala Padhlena kaafi Hai, (Yaad Rahe Ye Tasbeehaat Rukoo Mein Jaane Ke Baad aur Uthne Se Pehle Adaa Karen), 3) Tashahhud Ke Baad Dono Durood Sharif Aur Dua Ke Bajaaye ALLA HUMMA SALE ALA SAYYEDINA MUHAMMADEU WA AALIHI Keh Kar Salaam Pher De, 4) Vitr Mein Bajaaye Qunoot Ke 3 Baar ALLAHUMMAGFIR LANA Padhna Kaafi Hai, Tuloo, Gurub Wa Nisfunnahar Ke Alaawa Qaza Namaaze Har Waqt Adaa Ki Ja Sakti Hai......
- Blogger Comment
- Facebook Comment
Subscribe to:
Post Comments
(
Atom
)
0 comments:
Post a Comment
Comment here